Urdu – Jang

Dusron ki ghustaki ka kya hi daastaan sunaye hum
Humare apnon ne hi hum pe khanjar marein hai
Dard hota hai, zakhm behta hai
Laal khun deta hai gawahi, gadaari ka

Laal ka laal se jawaab de, toh hoga jang
Laal ka laal se jawaab de, toh hoga jang
Jitna hum jeetenge maidaan pe
Utna hi haarenge hum khud se

Sahi kaha hai kisine ki
Sahi kaha hai kisine ki
Jang chunke ladna seekho
Hum toh wahi jang mein ladte hai janaab
Hum toh wahi jang mein ladte hai janaab
Jahaan khanjar khud hi ko maarna ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *